jAzbaat-The unsaid



Hain ab intezar us waqt ka mujhe
jisme aaye yaad Tu afsane ki tarah
Ab bhi uljhi hain saanse meri ruh se teri
Jo hojaye azaad to tujhe bhi mile rihai, aur mujhe bhi. 

(2 July 2013)

*****

Yakbayak rukhsat hona hi kya kum tha sitam unka
Jo ab ye bhi tamanna rakhte hain wo,
Ki mukammal hogi zindagi kabhi unke bina. 


(Empowered by Your Love; 18 June 2013)

*****

Thaka deti hain zindagi kausautiyo pe lakar
Hansti hain khud insaan ko bebasi mein pakar
Kyon nahi samajhti dard ye khwabo aur jazbaton ke tootne ka
Zara khud saamna karke dekhe ye ik pal toot-ti sanson ka.

*****


Aaj un rasto se guzarna hua,
jin par ek umr ka safar tay kiya tha uske sath,
raste, manzar, bheed aur insaani masroofiyat,
tha sab kuch aaj bhi bilkul whi,

Nahi tha kuch toh bus wo humsafar mera.

(21 November 2012)



No comments:

Post a Comment

Translate